dil se dha.Dakan Khuun se azm-e-safar le jaayegaa
dil se dha.Dakan Khuun se azm-e-safar le jaayegaa
vaqt ik din chiin kar saare hunar le jaayegaa
[azm-e-safar =strength to travel; hunar = knowledge/skills]
haa.N duaa maa.Ngii thii lekin ye to sochaa bhii na thaa
mausam-e-barasaat sab diivaar-o-dar le jaayegaa
aaj is titalii ko in phuulo.n pe u.Dane diijiye
kal ko_ii jho.nkaa havaa kaa is ke par le jaayegaa
[titalii = butterfly; par = wing]
tuu kisii andhe kuye.N me.n jaaye to ye jaan le
saath saath apane ye merii bhii nazar le jaayegaa
[ku_aa.N = well; nazar = sight]
duusaro.n ke ghar me.n patthar phe.nkane vaale ye soch
tuu bachaa kar kis tarah shiishe kaa ghar le jaayegaa
shahar kii sa.Dako.n pe mere saath mat nikalo abhii
jo bhii dekhegaa u.Daa kar ye Khabar le jaayegaa
sar-bulandii jis kaa manasab hai vo jhuk sakataa nahii.n
dast-e-qaatil us kaa Khud neze pe sar le jaayegaa
[sar-bulandii = to keep one's head high]
[dast-e-qaatil = hands of the killer; nezaa = spear]
|