diiwaanaa banaanaa hai to diiwaanaa banaa de
Behzad Lucknawi
diiwaanaa banaanaa hai to diiwaanaa banaa de
warnaa kahii.n taqdiir tamaashaa na banaa de
aye dekhanewaalo.n mujhe ha.Ns ha.Ns ke na dekho
tum ko bhii mohabbat kahii.n mujh saa na banaa de
mai.n Dhuu.NDh rahaa huu.N merii wo shammaa kahaa.N hai
jo bazm kii har chiiz ko parwaanaa banaa de
aakhir koii suurat bhii to ho Khaanaa-e-dil kii
Kaabaa nahii.n banataa hai to but_Khaanaa banaa de
"Behzad" har ek jaam pe ek sajdaa-e-mastii
har zarre ko sang-e-dar-e-jaanaa.N naa banaa de