ham hii me.n thii na koii baat, yaad na tum ko aa sake
Hafeez Jullundhary
ham hii me.n thii na koii baat, yaad na tum ko aa sake
tumne hame.n bhulaa diyaa, ham na tumhe.n bhulaa sake
tum hii na sun sake agar, qissaa-e-Gam sunegaa kaun
kis kii zubaa.N khulegii phir, ham na agar sunaa sake
hosh me.n aa chuke the ham josh me.n aa chuke the ham
bazm kaa rang dekh kar sar na magar uThaa sake
shauq-e-visaal hai yahaa.N, lab pe savaal hai yahaa.N
kis kii majaal hai yahaa.N, ham se nazar milaa sake
raunaq-e-bazm ban gae lab pe hikaayate.n rahii.n
dil me.n shikaayaten rahii.n lab na magar hilaa sake
aisaa bhii ko_ii naamaabar baat pe kaan dhar sake
sun kar yakiin kar sake jaa ke u.nhe.n sunaa sake
ahal-e-zabaa.N to hai.n bahut koii nahii.n hai ahal-e-dil
kaun terii tarah "hafeez" dard ke geet gaa sake