Gam kii baarish ne bhii tere naqsh ko dhoyaa nahii.n
Gam kii baarish ne bhii tere naqsh ko dhoyaa nahii.n
tuune mujh ko kho diyaa mai.n ne tujhe khoyaa nahii.n
[naqsh = mark]
niind kaa halkaa gulaabii-saa Khumaar aa.Nkho.n me.n thaa
yuu.N lagaa jaise vo shab ko der tak soyaa nahii.n
[Khumaar = intoxication]
har taraf diivaar-o-dar aur un me.n aa.Nkho.n kaa hujuum
kah sake jo dil kii haalat vo lab-e-goyaa nahii.n
[hujuum = crowd; lab-e-goyaa = lips that can speak]
jurm aadam ne kiyaa aur nasl-e-aadam ko sazaa
kaaTataa huu.N zindagii bhar mai.n ne jo boyaa nahii.n
[aadam = Adam; nasl-e-aadam = mankind]
jaanataa huu.N ek aise shaKhs ko mai.n bhii 'Munir'
Gam se patthar ho gayaa lekin kabhii royaa nahii.n
[shaKhs = person]
|