jahaa.N ban ban ke aas dil kii TuuTii jaatii hai
jahaa.N ban ban ke aas dil kii TuuTii jaatii hai
vahii.n qismat kha.Dii bechaaragii pe muskuraatii hai
Gam-e-ulfat ke haatho.n jo miTaa be-aasaraa ho kar
usii paamaal-e-Gam ko haaye ab duniyaa sataatii hai
kahaa.N rahataa hai qaabuu phir dil-e-naakaam par mujh ko
ke jab rah rah ke tanahaa_ii me.n terii yaad aatii hai
havaa-e-Gam kaa muntazar huu.N vafuur-e-shauq me.n 'Yahya'
magar ab dekhiye un kii tajallii kyaa dikhaatii hai
|